Punjab sarkar ne 2025 mein apne rajya ke logon ke liye ek badi swasth suvidha ki yojana launch ki hai jiska naam hai Mukh Mantri Sehat Bima Yojana 2025. Is scheme ka mukhya uddeshya hai har Punjab ke nagrik ko achhi health facilities dena bina kisi financial burden ke. Scheme ke tahat eligible families ko Rs.10 lakh tak ka cashless ilaj milega government aur private empaneled hospitals mein.
Yeh yojana 2 October 2025 se poore Punjab mein lagu hone wali hai. Sarkar ne kaha hai ki har ek eligible citizen ko “Sehat Card” diya jayega jise dikhakar wo kisi bhi empaneled hospital mein free treatment le sakta hai.
Is Yojana ke Mukhya Features kya hain?
- Har family ko milega Rs.10 lakh tak annual cashless ilaj
- Punjab ke sabhi naagrikon ke liye available hai, income ya caste ki koi pabandi nahi
- Aadhaar card se identity verify karna hoga
- Empaneled Private aur Government hospitals mein valid hoga
- Seva Kendra ya CSC par jaa kar aap apna Sehat Card banwa sakte hain
Yeh Yojana Kya PM-JAY Jaisi Hai?
Ji haan, yeh yojana PM Jan Arogya Yojana (Ayushman Bharat) ke model par hi based hai, lekin iska funding aur implementation Punjab sarkar khud karegi. Isliye is yojana ka scope Punjab ke har nagrik tak pahuchana hai, chahe uske paas ration card ho ya nahi.
Eligibility Criteria kya hai?
Yeh yojana universal health coverage ke concept par based hai, isiliye Punjab ka har resident isme eligible hai:
- Punjab mein permanent residence hona chahiye
- Aadhaar card aur mobile number hona zaroori hai
- Family details verify karna hoga Seva Kendra par
- Income certificate ya ration card ki zarurat nahi hai
Documents Required:
- Aadhaar Card (Sabhi family members ka)
- Punjab ka Address Proof
- Mobile Number (OTP verification ke liye)
- Family Photo (optional, biometric ke waqt liya ja sakta hai)
Apply Kaise Karein? Step-by-step Process
1. Sabse pehle najdiki Seva Kendra ya CSC Center jaayein
2. Wahan par apne Aadhaar card aur family details submit karein
3. Operator aapka biometric karega aur aapka data verify karega
4. Verification ke baad aapka Sehat Card print karke de diya jaayega
5. Yojana 2 October 2025 se activate hogi aur tabhi aapka card use ho payega
ILAZ kahaan ho sakta hai?
Punjab ke jitne bhi Empaneled Hospitals hain — chahe wo private ho ya sarkari — sab mein aap apne Sehat Card ka use karke cashless treatment le sakte hain. Aapko koi paise nahi dene padenge. Aapka card swipe hoga aur sab procedure free hoga.
Kuch bade hospitals jo empaneled ho sakte hain:
- PGI Chandigarh
- DMC Ludhiana
- Civil Hospitals across Punjab
- Fortis (selected locations)
Yeh Card kis kis ke liye kaam karega?
Agar aapne apne family ke sabhi members ko register kar liya hai, to har ek family member is card ka use kar sakta hai. Har family ko Rs.10 lakh ka total annual limit diya jaayega.
Also read: Punjab Labour Card Yojana 2025
Kya yeh card permanent hai ya renew karna padega?
Sehat Card ki validity ek saal ki hogi, aur har saal aapko apne details verify karwaani hongi. Lekin agar koi change nahi hai, to card auto-renew bhi ho sakta hai.
Yeh scheme ka benefit kab se milega?
Yeh yojana 2 October 2025 se Punjab ke har district mein lagu hogi. Uske baad aap apne card ka use kar sakte hain ilaj ke liye.
Important Tip for Users:
Jis din aapka card ban jaye, uske baad apne najdiki empaneled hospital mein ek baar check zaroor karein ki unka card reader system kaam kar raha hai ya nahi. Emergency ke waqt aapko koi dikkat na ho.
Official Website par aur jaankari ke liye visit karein:
https://sha.punjab.gov.in or https://sha.punjab.gov.in
FAQs - Punjab Mukh Mantri Sehat Yojana 2025
Q1. Punjab Mukh Mantri Sehat Yojana kya hai?
Ye Punjab sarkar ki taraf se launch ki gayi ek health insurance scheme hai jisme ₹10 lakh tak ka muft ilaj milta hai cashless facility ke through.
Q2. Is yojana ka labh kin logon ko milega?
Punjab ke sabhi residents, chahe wo BPL ho ya APL, agar unke paas Aadhaar card hai to wo is scheme ka labh utha sakte hain.
Q3. Registration kaise karna hoga?
Aapko apne najdeeki Seva Kendra ya CSC center par jaake biometric verification karwana hoga. Aadhaar card le jana zaroori hai.
Q4. Is yojana mein ilaj kin hospitals mein hoga?
Sarkari aur Punjab sarkar ke empaneled private hospitals mein cashless treatment ki suvidha milegi.
Q5. Yojana kab lagu hogi?
Ye scheme 2 October 2025 se Punjab mein lagu ki ja rahi hai.
Q6. Kya family ke sabhi members cover honge
Haan, agar sabhi family members ko registration ke samay include kiya gaya hai to sabko coverage milega.
Q7. Ayushman Yojana aur isme kya difference hai?
Ayushman Yojana nationwide scheme hai jabki Punjab Mukh Mantri Sehat Yojana sirf Punjab ke liye hai jisme ₹10 lakh tak ka ilaj milta hai.
Q8. Card ki validity kya hoti hai?
Card har saal renew hota hai, aur aapko apna data update rakhna hota hai Seva Kendra mein.