H-1B Visa Information
H-1B Visa $100,000 Fee: Key Facts & Figures |
Naya Rule Kya Hai? |
US President Donald Trump ne ek proclamation sign kiya hai jiske under H-1B visa applicants ko sponsor karne wali companies ko ek additional fee of $100,000 (approx. ₹88 Lakh+) deni hogi. |
Kisne Introduce Kiya? |
US President Donald Trump |
Fee Kispar Lagega? |
H-1B visa sponsor karne wali companies par. Applicant par nahi. |
Kyun Laya Gaya? |
America ke highly skilled citizens ko zyada jobs dene ke liye. Will Scharf (White House staff secretary) ne H-1B ko "most abused visa" kaha hai. |
Main Objective |
H-1B visa ke misuse (galt istemal) ko roakna. Companies ko foreign talent hire karte waqt sochna parhe. |
H-1B Visa New Fee Impact Analysis |
IT/Tech Companies Par Asar |
Negative: Hiring cost badhega. Indian IT companies jo US mein kaam karti hain unpar financial burden padega. Chhoti American startups bhi affect hongi. |
Students & Future Applicants |
Negative: US job opportunities kam ho jayengi. Degree ke baad job milna mushkil hoga. ROI (Return on Investment) kam hogi. |
Kya Student Visa Affect Hoga? |
Indirectly Haan: Fee directly F-1 visa par nahi hai, lekin long-term US plan banana tough hoga. Student visa process aur strict ho sakti hai. |
Indian Perspective & Solution |
Wake-up Call: Indian students ko India mein rehkar padhai par focus karna chahiye. Indian Govt ko skilled professionals aur startups ko support karna chahiye technology sector aage badhane ke liye. |
H-1B Visa: Pure Jankari Ek Nazar Mein (Complete Details) |
H-1B Visa Kya Hai? |
Ye America ka ek temporary work visa hai jisse US ki companies foreign countries ke skilled professionals ko hire kar pati hain. 1990 mein bana tha. |
Kiske Liye Hai? |
Un logon ke liye jinke paas Bachelor's degree ya usse upar ki degree hai. Especially Science, Technology, Engineering aur Math (STEM) fields ke liye. |
Visa Duration Kitni Hai? |
Shuru mein 3 saal ke liye milta hai. Phir extend karke maximum 6 saal tak kar sakte hain. Agar aapko Green Card (Permanent Residency) mil jaye to ise aur extend kar sakte hain. |
Apply Kaise Karte Hain? |
Companies US Citizenship and Immigration Services (USCIS) ke online portal par register karti hain. Phir ek "Lottery System" hota hai jisme randomly applicants select kiye jaate hain. |
Salary & Working Conditions |
H-1B employees ko American employees jitni hi salary aur same working conditions milne compulsory hain. |
Nayi Problem Kya Hai? |
Trump administration ne naya $100,000 (₹88 Lakh+) fee lagaya hai. Agar aap Green Card ke liye wait kar rahe hain (jo Indians ke liye bahut lamba process hai), toh har baar visa renew karate waqt companies ko ye bhada amount dena hoga. |
Citizenship Test Bhi Tough! |
US ab citizenship test bhi difficult kar raha hai. Applicants ko 128 questions padhne honge US history aur politics ke baare mein. Test mein 20 questions puchenge aur 12 ka sahi jawab dena hoga. |
๐ค About the Author: Piyush Sharma
Piyush Sharma is a seasoned content creator with over 15 years of experience in blog writing and digital publishing. He is the founder of the reputed website
MultibaggerStockIdeas.com, which he has been successfully managing for more than 18 years.
Holding degrees in Science, Business Administration (India & Australia), and Professional Accounting from Australia, Piyush brings a unique blend of academic depth and business expertise. He is also actively involved in the stock market sector in India.